sadgi pahchan jis ki KHamushi aawaz hai
sādgī pahchān jis kī ḳhāmushī āvāz hai
sochiye us aa.ine se kyuuñ koī nārāz hai
be-sabab sāyoñ ko apne lambe qad pe naaz hai
ḳhaak meñ mil jā.eñge ye shaam kā āġhāz hai
yuuñ havā lahroñ pe kuchh tahrīr kartī hai magar
jhuum kar bahtā hai dariyā kā yahī andāz hai
dekh kar shāhīñ ko piñjre meñ patingā kuchh kahe
jāntā vo bhī hai kis meñ quvvat-e-parvāz hai
kyuuñ muġhannī ke liye bechain hai tū is qadar
ai dil-e-nādāñ ki tū to ik shikasta saaz hai
sadgi pahchan jis ki KHamushi aawaz hai
sochiye us aaine se kyun koi naraaz hai
be-sabab sayon ko apne lambe qad pe naz hai
KHak mein mil jaenge ye sham ka aaghaz hai
yun hawa lahron pe kuchh tahrir karti hai magar
jhum kar bahta hai dariya ka yahi andaz hai
dekh kar shahin ko pinjre mein patinga kuchh kahe
jaanta wo bhi hai kis mein quwwat-e-parwaz hai
kyun mughanni ke liye bechain hai tu is qadar
ai dil-e-nadan ki tu to ek shikasta saz hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.