sadgi yun aazmai jaegi
sādgī yuuñ āzmā.ī jā.egī
nit-na.ī tohmat lagā.ī jā.egī
jāgte guzrī hai saarī zindagī
ab hameñ lorī sunā.ī jā.egī
soch kā rauzan bhī āḳhir kyuuñ rahe
raushnī ye bhī bujhā.ī jā.egī
sab purāne ghar girā.e jā.eñge
ik na.ī duniyā basā.ī jā.egī
dauḌ hogī aur vo bhī shauqiya
dhuul bastī meñ uḌaa.ī jā.egī
āsmāñ ko bhī na baḳhshā jā.egā
chāñd par kālak lagā.ī jā.egī
ye jazīra tab hameñ apnā.egā
jab har ik kashtī jalā.ī jā.egī
sadgi yun aazmai jaegi
nit-nai tohmat lagai jaegi
jagte guzri hai sari zindagi
ab hamein lori sunai jaegi
soch ka rauzan bhi aaKHir kyun rahe
raushni ye bhi bujhai jaegi
sab purane ghar girae jaenge
ek nai duniya basai jaegi
dauD hogi aur wo bhi shauqiya
dhul basti mein uDai jaegi
aasman ko bhi na baKHsha jaega
chand par kalak lagai jaegi
ye jazira tab hamein apnaega
jab har ek kashti jalai jaegi
- Book : kulliyat -e-Murtaza Barlas (Pg. 246)
- Author : Murtaza Barlas
- Publication : Alhamd Publication Lahore (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.