sadiq se salihin se aage na baDh saka
sādiq se sālihīn se aage na baḌh sakā
jo qāfila yaqīn se aage na baḌh sakā
ḳhilqat ḳhirāj ḳhuun kā detī rahī sadā
par taḳht jānashīn se aage na baḌh sakā
maiñ ne hazār baar jagah dil meñ dī magar
kam-zarf āstīn se aage na baḌh sakā
us ke dimāġh-o-dil meñ ka.ī vasvase rahe
qissa yuuñ dūrbīn se aage na baḌh sakā
sajdoñ kā Dher sāmne rakhnā fuzūl hai
sajda agar jabīn se aage na baḌh sakā
sadiq se salihin se aage na baDh saka
jo qafila yaqin se aage na baDh saka
KHilqat KHiraj KHun ka deti rahi sada
par taKHt jaanashin se aage na baDh saka
main ne hazar bar jagah dil mein di magar
kam-zarf aastin se aage na baDh saka
us ke dimagh-o-dil mein kai waswase rahe
qissa yun durbin se aage na baDh saka
sajdon ka Dher samne rakhna fuzul hai
sajda agar jabin se aage na baDh saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.