sae chamak rahe the siyasat ki baat thi
saa.e chamak rahe the siyāsat kī baat thī
āñkheñ khulīñ to sub.h ke parde meñ raat thī
maiñ to samajh rahā thā ki mujh par hai mehrbāñ
dīvār kī ye chhāñv to sūraj ke saath thī
kis darja haul-nāk hai yaaro shu.ūr-e-zāt
kitnī hasīn pahle yahī kā.enāt thī
terī jafā to morid-e-ilzām thī na hai
merī vafā bhī koshish-e-takmīl-e-zāt thī
sae chamak rahe the siyasat ki baat thi
aankhen khulin to subh ke parde mein raat thi
main to samajh raha tha ki mujh par hai mehrban
diwar ki ye chhanw to suraj ke sath thi
kis darja haul-nak hai yaro shuur-e-zat
kitni hasin pahle yahi kaenat thi
teri jafa to morid-e-ilzam thi na hai
meri wafa bhi koshish-e-takmil-e-zat thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.