sae ke haq mein kuchh nahin mere bayan mein
saa.e ke haq meñ kuchh nahīñ mere bayān meñ
jo aap chhuptā phirtā hai har sā.ebān meñ
ye chhoTe chhoTe shauq bhī us ko ravā nahīñ
jis ko baḌā banāyā gayā ḳhāndān meñ
mujh ko hai aadmī se tavaqqo ḳhulūs kī
sonā talāsh kartā huuñ miTTī kī kaan meñ
qad se nahīñ banā.ī hai pahchān jast se
ye farq hai hamārī tumhārī uThān meñ
miTTī meñ milne vaale haiñ kal us ke chīthḌe
uḌtī rahe patañg bhale āsmān meñ
chup rah sake jo aadmī chup ke maqām par
ye ḳhāmushī ho zumra-e-fauq-ul-bayān meñ
ab tak hameñ ḳhabar hī nahīñ thī kamāl hai
nikle haiñ ham bhī aap ke dil-dādgān meñ
fitrat se kachche-pakke ta.alluq kī baat kyā
miTTī kī baas tak nahīñ pakke makān meñ
sae ke haq mein kuchh nahin mere bayan mein
jo aap chhupta phirta hai har saeban mein
ye chhoTe chhoTe shauq bhi us ko rawa nahin
jis ko baDa banaya gaya KHandan mein
mujh ko hai aadmi se tawaqqo KHulus ki
sona talash karta hun miTTi ki kan mein
qad se nahin banai hai pahchan jast se
ye farq hai hamari tumhaari uThan mein
miTTi mein milne wale hain kal us ke chithDe
uDti rahe patang bhale aasman mein
chup rah sake jo aadmi chup ke maqam par
ye KHamushi ho zumra-e-fauq-ul-bayan mein
ab tak hamein KHabar hi nahin thi kamal hai
nikle hain hum bhi aap ke dil-dadgan mein
fitrat se kachche-pakke talluq ki baat kya
miTTi ki bas tak nahin pakke makan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.