sae ko dhup dhup ko saya bana liya
saa.e ko dhuup dhuup ko saayā banā liyā
ik lamha-e-visāl ne kyā kyā banā liyā
ik shahr-e-nā-shanās meñ jaane kī der thī
begānagī ne mujh ko tamāshā banā liyā
āvārgān-e-shauq kā raste meñ thā hujūm
maiñ ne magar hujūm meñ rastā banā liyā
ḳhvāboñ kī maiñ ne ek imārat banā.ī aur
yādoñ kā us meñ ek darīcha banā liyā
itnī sī baat hai ki use mil nahīñ sakā
us ne baḌhā ke baat ko jhagḌā banā liyā
sae ko dhup dhup ko saya bana liya
ek lamha-e-visal ne kya kya bana liya
ek shahr-e-na-shanas mein jaane ki der thi
beganagi ne mujh ko tamasha bana liya
aawargan-e-shauq ka raste mein tha hujum
main ne magar hujum mein rasta bana liya
KHwabon ki main ne ek imarat banai aur
yaadon ka us mein ek daricha bana liya
itni si baat hai ki use mil nahin saka
us ne baDha ke baat ko jhagDa bana liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.