saf aaina hai kyun mujhe dhundla dikhai de
saaf ā.īna hai kyuuñ mujhe dhundlā dikhā.ī de
gar aks hai ye merā to mujh sā dikhā.ī de
mujh ko to maar Dālegā merā akelā-pan
is bhiiḌ meñ koī to shanāsā dikhā.ī de
barbād mujh ko dekhnā chāhe har ek aañkh
mil kar rahūñgā ḳhaak meñ aisā dikhā.ī de
ye āsmāñ pe dhund sī chhā.ī huī hai kyā
gar abr hai to ham ko barastā dikhā.ī de
ye mujh ko kis maqām pe le aa.ī zindagī
yā rab koī farār kā rasta dikhā.ī de
'fārūq' dil kā haal maiñ jā kar kise kahūñ
har chehra mujh ko apnā hī chehra dikhā.ī de
saf aaina hai kyun mujhe dhundla dikhai de
gar aks hai ye mera to mujh sa dikhai de
mujh ko to mar Dalega mera akela-pan
is bhiD mein koi to shanasa dikhai de
barbaad mujh ko dekhna chahe har ek aankh
mil kar rahunga KHak mein aisa dikhai de
ye aasman pe dhund si chhai hui hai kya
gar abr hai to hum ko barasta dikhai de
ye mujh ko kis maqam pe le aai zindagi
ya rab koi farar ka rasta dikhai de
'faruq' dil ka haal main ja kar kise kahun
har chehra mujh ko apna hi chehra dikhai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.