saf dil aur nazar pak liye phirte hain
saaf dil aur nazar paak liye phirte haiñ
muflisī meñ bhī ye imlāk liye phirte haiñ
dījiye daad ki is daur-e-pur-āshob meñ ham
be-ḳhatar lahja-e-bebāk liye phirte haiñ
ham ne har haal meñ jiine kā hunar siikh liyā
aap kyoñ dīda-e-namnāk liye phirte haiñ
ḳhush-libāsī hai faqat lā.eq-e-tāzīm yahāñ
aur ham dāman-e-sad-chāk liye phirte haiñ
āshiyānoñ kī sukūnat ke maze lūTeñge
jo parinde ḳhas-o-ḳhāshāk liye phirte haiñ
ham ki afsos-sad-afsos man-o-tū ke asiir
vo ki mansūbe ḳhatarnāk liye phirte haiñ
bas maqāmāt-e-muqaddas kī ziyārat ho nasīb
ham ye hasrat shah-e-laulāk liye phirte haiñ
saf dil aur nazar pak liye phirte hain
muflisi mein bhi ye imlak liye phirte hain
dijiye dad ki is daur-e-pur-ashob mein hum
be-KHatar lahja-e-bebak liye phirte hain
hum ne har haal mein jine ka hunar sikh liya
aap kyon dida-e-namnak liye phirte hain
KHush-libasi hai faqat laeq-e-tazim yahan
aur hum daman-e-sad-chaak liye phirte hain
aashiyanon ki sukunat ke maze luTenge
jo parinde KHas-o-KHashak liye phirte hain
hum ki afsos-sad-afsos man-o-tu ke asir
wo ki mansube KHatarnak liye phirte hain
bas maqamat-e-muqaddas ki ziyarat ho nasib
hum ye hasrat shah-e-laulak liye phirte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.