saghar-ba-dast hun main
sāġhar-ba-dast huuñ maiñ
mast-e-alast huuñ maiñ
jo kuchh na hai na thī kuchh
vo būd-o-hast huuñ maiñ
dil hai buland bātin
zāhir meñ past huuñ maiñ
kasrat se kyā ta.alluq
vahdat parast huuñ maiñ
kah do bahār aa.e
dāman ba-dast huuñ maiñ
saaqī ko bhuul baiThā
is darja mast huuñ maiñ
kyuuñ kar koī bhulā.e
ahd-e-alast huuñ maiñ
ġham bhī ḳhushī meñ shāmil
fatah-o-shikast huuñ maiñ
kahte hoñ 'nūh' mujh ko
tūfāñ parast huuñ maiñ
saghar-ba-dast hun main
mast-e-alast hun main
jo kuchh na hai na thi kuchh
wo bud-o-hast hun main
dil hai buland baatin
zahir mein past hun main
kasrat se kya talluq
wahdat parast hun main
kah do bahaar aae
daman ba-dast hun main
saqi ko bhul baiTha
is darja mast hun main
kyun kar koi bhulae
ahd-e-alast hun main
gham bhi KHushi mein shamil
fatah-o-shikast hun main
kahte hon 'nuh' mujh ko
tufan parast hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.