saghar ki kahani bhul gae shishe ka fasana bhul gae
sāġhar kī kahānī bhuul ga.e shīshe kā fasāna bhuul ga.e
jis vaqt laḌī saaqī se nazar ham jaam uThānā bhuul ga.e
ham mahv-e-nazāra kyā hote ai dost bhalā is mahfil meñ
jis bazm meñ hosh-o-ḳhirad kho kar ham hosh meñ aanā bhuul ga.e
hai dār-o-madār-e-ranj-o-sukūñ is dil kā un kī marzī par
jis vaqt zarā hañs hañs ke mile ham haal sunānā bhuul ga.e
sochā thā vo ḳhvāb meñ ā.eñge jī bhar ke karūñgā shikve gile
afsos ki ye bhī ho na sakā vo ḳhvāb meñ aanā bhuul ga.e
furqat meñ 'naresh'-e-ḳhasta-jāñ ko is tarah jo taḌpāte ho
duzdīda-nigāhī se apnī kyā barq girānā bhuul ga.e
saghar ki kahani bhul gae shishe ka fasana bhul gae
jis waqt laDi saqi se nazar hum jam uThana bhul gae
hum mahw-e-nazara kya hote ai dost bhala is mahfil mein
jis bazm mein hosh-o-KHirad kho kar hum hosh mein aana bhul gae
hai dar-o-madar-e-ranj-o-sukun is dil ka un ki marzi par
jis waqt zara hans hans ke mile hum haal sunana bhul gae
socha tha wo KHwab mein aaenge ji bhar ke karunga shikwe gile
afsos ki ye bhi ho na saka wo KHwab mein aana bhul gae
furqat mein 'naresh'-e-KHasta-jaan ko is tarah jo taDpate ho
duzdida-nigahi se apni kya barq girana bhul gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.