sagar se gar pyar na hota
sāgar se gar pyaar na hotā
dariyā ulTā bahtā sā.īñ
kal shab maiñ ne ḳhvāb thā dekhā
kyā tum ne bhī dekhā sā.īñ
tum aur maiñ ik saath akele
kamra zabt se mahkā sā.īñ
merī bāteñ kaan tumhāre
biich meñ ik sannāTā sā.īñ
kāġhaz par do chaar lakīreñ
aur na kuchh bhī likkhā sā.īñ
maiñ ne sab kuchh soch liyā hai
tum ne bhī kuchh sochā sā.īñ
sagar se gar pyar na hota
dariya ulTa bahta sain
kal shab main ne KHwab tha dekha
kya tum ne bhi dekha sain
tum aur main ek sath akele
kamra zabt se mahka sain
meri baaten kan tumhaare
bich mein ek sannaTa sain
kaghaz par do chaar lakiren
aur na kuchh bhi likkha sain
main ne sab kuchh soch liya hai
tum ne bhi kuchh socha sain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.