sahab-e-zar na sahi sahab-e-izzat hain abhi
sāhab-e-zar na sahī sāhab-e-izzat haiñ abhī
aur ik sañg-e-malāmat ki salāmat haiñ abhī
yuuñ to be-qufl haiñ lab aur sadā.eñ āzād
phir bhī alfāz ki mahrūm-e-samā.at haiñ abhī
pur ta.assur thī bahut un kī ḳhitābat lekin
chand bāteñ haiñ ki marhūn-e-vazāhat haiñ abhī
sach ke ḳheme meñ raheñ jhuuT kī bai.at kar leñ
kitne hī log ki pāband-e-rivāyat haiñ abhī
sahab-e-zar na sahi sahab-e-izzat hain abhi
aur ek sang-e-malamat ki salamat hain abhi
yun to be-qufl hain lab aur sadaen aazad
phir bhi alfaz ki mahrum-e-samaat hain abhi
pur tassur thi bahut un ki KHitabat lekin
chand baaten hain ki marhun-e-wazahat hain abhi
sach ke KHeme mein rahen jhuT ki baiat kar len
kitne hi log ki paband-e-riwayat hain abhi
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 221)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.