sahib-e-jam-o-subu ahl-e-karam aate hain
sāhib-e-jām-o-subū ahl-e-karam aate haiñ
ham se dīvāne magar dahr meñ kam aate haiñ
kyā sabab hai ki tirī bazm meñ ai jān-e-hayāt
jab bhī aate haiñ mire hisse meñ ġham aate haiñ
ab na zaḳhmoñ kī zarūrat hai na marham kī talāsh
ye marāhil bhī rah-e-ishq meñ kam aate haiñ
jab bhī maiñ shiddat-e-tanhā.ī se ghabrāyā huuñ
ek āvāz sī aa.ī hai ki ham aate haiñ
un se kis tarah mulāqāt kareñ ham āḳhir
vo kahāñ hote haiñ jab hosh meñ ham aate haiñ
ye mere azm-e-musalsal kī kashish hai 'aḳhtar'
merī jānib mirī manzil ke qadam aate haiñ
sahib-e-jam-o-subu ahl-e-karam aate hain
hum se diwane magar dahr mein kam aate hain
kya sabab hai ki teri bazm mein ai jaan-e-hayat
jab bhi aate hain mere hisse mein gham aate hain
ab na zaKHmon ki zarurat hai na marham ki talash
ye marahil bhi rah-e-ishq mein kam aate hain
jab bhi main shiddat-e-tanhai se ghabraya hun
ek aawaz si aai hai ki hum aate hain
un se kis tarah mulaqat karen hum aaKHir
wo kahan hote hain jab hosh mein hum aate hain
ye mere azm-e-musalsal ki kashish hai 'aKHtar'
meri jaanib meri manzil ke qadam aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.