sāhib-e-jur.at-e-iz.hār nahīñ hai koī
vaqt se barsar-e-paikār nahīñ hai koī
hañs rahā huuñ maiñ sar-e-bazm-e-havādis ki jahāñ
muskurāne pe bhī tayyār nahīñ hai koī
mere har sher meñ dhaḌkan hai dil-e-ālam kī
ye hadīs-e-lab-o-ruḳhsār nahīñ hai koī
maañg kyā māñgtī hai fasl-e-bahārāñ ham se
laakh is dasht meñ gulzār nahīñ hai koī
hai baḌī raunaq-e-bāzār-e-havas shahr-ba-shahr
jins-e-ulfat kā ḳharīdār nahīñ hai koī
aaj ḳhairāt-e-masarrat ke sabhī tālib haiñ
ne.amat-e-ġham kā talabgār nahīñ hai koī
baat jo kah ke sar-e-bazm palaT jaate haiñ
un kī taqrīr kā me.aar nahīñ hai koī
kis ko rūdād-e-ġham-e-zīst sunā.ūñ jā kar
baat karne pe bhī tayyār nahīñ hai koī
ḳhvāb-e-fardā meñ use dekh rahā huuñ maiñ 'kamāl'
jis qafas meñ dar-o-dīvār nahīñ hai koī
sahib-e-jurat-e-izhaar nahin hai koi
waqt se barsar-e-paikar nahin hai koi
hans raha hun main sar-e-bazm-e-hawadis ki jahan
muskurane pe bhi tayyar nahin hai koi
mere har sher mein dhaDkan hai dil-e-alam ki
ye hadis-e-lab-o-ruKHsar nahin hai koi
mang kya mangti hai fasl-e-bahaaran hum se
lakh is dasht mein gulzar nahin hai koi
hai baDi raunaq-e-bazar-e-hawas shahr-ba-shahr
jins-e-ulfat ka KHaridar nahin hai koi
aaj KHairaat-e-masarrat ke sabhi talib hain
neamat-e-gham ka talabgar nahin hai koi
baat jo kah ke sar-e-bazm palaT jate hain
un ki taqrir ka mear nahin hai koi
kis ko rudad-e-gham-e-zist sunaun ja kar
baat karne pe bhi tayyar nahin hai koi
KHwab-e-farda mein use dekh raha hun main 'kamal'
jis qafas mein dar-o-diwar nahin hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.