sahib-e-nazar hain log
sāhib-e-nazar haiñ log
aur be-basar haiñ log
mohtaram na kyoñ kahiye
āḳhir ahl-e-zar haiñ log
zindagī na zinda-dilī
kyā shajar hajar haiñ log
kab uThe haiñ fitne ḳhud
aap fitna-gar haiñ log
tum bhī ḳhuub ho lekin
tum se ḳhūb-tar haiñ log
ab kahāñ vo ḳhāna-ba-dosh
āsmāñ ba-sar haiñ log
ghar haiñ be-charāġh to kyā
shams haiñ qamar haiñ log
ḳhair kī duā kiije
ḳhair se ba-shar haiñ log
sahib-e-nazar hain log
aur be-basar hain log
mohtaram na kyon kahiye
aaKHir ahl-e-zar hain log
zindagi na zinda-dili
kya shajar hajar hain log
kab uThe hain fitne KHud
aap fitna-gar hain log
tum bhi KHub ho lekin
tum se KHub-tar hain log
ab kahan wo KHana-ba-dosh
aasman ba-sar hain log
ghar hain be-charagh to kya
shams hain qamar hain log
KHair ki dua kije
KHair se ba-shar hain log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.