sahil ki himayat mein jazire nikal aae
sahil ki himayat mein jazire nikal aae
Mohammad Iftikharul Haq Samaj
MORE BYMohammad Iftikharul Haq Samaj
sāhil kī himāyat meñ jazīre nikal aa.e
paanī se baġhāvat ke vasīle nikal aa.e
jab maañd paḌīñ yaad ke sūraj kī shuā.eñ
nisyāñ kī ḳhalāoñ meñ sitāre nikal aa.e
tai ho ga.ī ta.abīr se jab in kī sagā.ī
ḳhvāboñ se mire aur bhī rishte nikal aa.e
kis niiñd se jaagā huuñ ki har jeb se merī
fardā meñ chhupā.e hue sikke nikal aa.e
pairāhan-e-alfāz badalne ke amal meñ
kuchh ma.anī lakīroñ ke badan se nikal aa.e
Daalā jo kabhī dhuup ke sāñche meñ badan ko
kāmil mujhe karne ka.ī saa.e nikal aa.e
kholā jo ḳhalish ne kabhī sandūq-e-judā.ī
imkāñ se likhe vasl ke nusḳhe nikal aa.e
leTā thā maiñ ik dasht-e-tayaqqun meñ akelā
eḌī bhī na ragḌī thī ki chashme nikal aa.e
yuuñ zabt kī muTThī se bikharte ga.e daane
har gumbad-e-ḳhvāhish se parinde nikal aa.e
sahil ki himayat mein jazire nikal aae
pani se baghawat ke wasile nikal aae
jab mand paDin yaad ke suraj ki shuaen
nisyan ki KHalaon mein sitare nikal aae
tai ho gai tabir se jab in ki sagai
KHwabon se mere aur bhi rishte nikal aae
kis nind se jaga hun ki har jeb se meri
farda mein chhupae hue sikke nikal aae
pairahan-e-alfaz badalne ke amal mein
kuchh mani lakiron ke badan se nikal aae
Dala jo kabhi dhup ke sanche mein badan ko
kaamil mujhe karne kai sae nikal aae
khola jo KHalish ne kabhi sanduq-e-judai
imkan se likhe wasl ke nusKHe nikal aae
leTa tha main ek dasht-e-tayaqqun mein akela
eDi bhi na ragDi thi ki chashme nikal aae
yun zabt ki muTThi se bikharte gae dane
har gumbad-e-KHwahish se parinde nikal aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.