sahil ki ret chand ke munh par na Daliye
sāhil kī ret chāñd ke muñh par na Dāliye
himmat jo ho to bahr se motī nikāliye
ḳhushbū kī tarah thaam ke chaliye havā kā haath
misl-e-ġhubār bojh fazā par na Dāliye
āvāra mausamoñ ke bagūloñ ke saath saath
phirtā hai koī mujh ko havā-dar-havā liye
khultā nahīñ ki kis ke liye sargirāñ huuñ maiñ
qadmoñ meñ ḳhaak sar pe falak kī ridā liye
saa.e kī tarah reñg rahā huuñ zamīn par
guzre hue zamānoñ kī āvāz-e-pā liye
ik harf mere kaan meñ kahtā hai rāt-din
mujh ko kitāb-e-ḳhāk se bāhar nikāliye
mumkin hai koī shakl ubhar aa.e sāmne
ā.īna-e-ḳhalā meñ koī aks Dāliye
āzād ho sakā na badan qaid-e-ḳhāk se
har-chand ham ne paañv havā meñ jamā liye
ik sham-e-be-nishāñ kā pata DhūñDte hue
ham ne dil-o-nigāh ke sūraj bujhā liye
sahil ki ret chand ke munh par na Daliye
himmat jo ho to bahr se moti nikaliye
KHushbu ki tarah tham ke chaliye hawa ka hath
misl-e-ghubar bojh faza par na Daliye
aawara mausamon ke bagulon ke sath sath
phirta hai koi mujh ko hawa-dar-hawa liye
khulta nahin ki kis ke liye sargiran hun main
qadmon mein KHak sar pe falak ki rida liye
sae ki tarah reng raha hun zamin par
guzre hue zamanon ki aawaz-e-pa liye
ek harf mere kan mein kahta hai raat-din
mujh ko kitab-e-KHak se bahar nikaliye
mumkin hai koi shakl ubhar aae samne
aaina-e-KHala mein koi aks Daliye
aazad ho saka na badan qaid-e-KHak se
har-chand hum ne panw hawa mein jama liye
ek sham-e-be-nishan ka pata DhunDte hue
hum ne dil-o-nigah ke suraj bujha liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.