sahil se uTha hai na samundar se uTha hai
sāhil se uThā hai na samundar se uThā hai
jo shor mirī zaat ke andar se uThā hai
dariyā-e-mohabbat ke kināre kabhī koī
Duubā hai jo ik baar muqaddar se uThā hai
vo aa.e to is ḳhvāb ko ta.abīr milegī
jo ḳhvāb-e-jazīra mire sāgar se uThā hai
maiñ apne rag-o-pai meñ use DhūñD rahī huuñ
jo shaḳhs abhī mere barābar se uThā hai
raqsāñ hai mirī aañkh meñ ehsās kī mānind
manzar jo tirī aañkh ke manzar se uThā hai
phūloñ ko tire rañg ne baḳhshī hai kahānī
ḳhushbū kā fasāna tire paikar se uThā hai
is shahr-e-mohabbat meñ vo ruktā hī nahīñ hai
jo shor tire pyaar ke mehvar se uThā hai
ye us kā ravayya ye anā ye lab-o-lahja
in sab ke sabab amn-o-sukūñ ghar se uThā hai
mehr-o-mah-o-anjum meñ use DhūñDne vaalo
ye saarā jahāñ ḳhaak ke paikar se uThā hai
rahtā hai mirī aañkh meñ kājal kī tarah se
jo duur tamannāoñ ke tevar se uThā hai
maiñ dar se tire uTh ke isī soch meñ gum huuñ
kyā koī ḳhushī se bhī tire dar se uThā hai
jo us kī nazar se kabhī 'afroz' uThā thā
is baar vo mahshar mire andar se uThā hai
sahil se uTha hai na samundar se uTha hai
jo shor meri zat ke andar se uTha hai
dariya-e-mohabbat ke kinare kabhi koi
Duba hai jo ek bar muqaddar se uTha hai
wo aae to is KHwab ko tabir milegi
jo KHwab-e-jazira mere sagar se uTha hai
main apne rag-o-pai mein use DhunD rahi hun
jo shaKHs abhi mere barabar se uTha hai
raqsan hai meri aankh mein ehsas ki manind
manzar jo teri aankh ke manzar se uTha hai
phulon ko tere rang ne baKHshi hai kahani
KHushbu ka fasana tere paikar se uTha hai
is shahr-e-mohabbat mein wo rukta hi nahin hai
jo shor tere pyar ke mehwar se uTha hai
ye us ka rawayya ye ana ye lab-o-lahja
in sab ke sabab amn-o-sukun ghar se uTha hai
mehr-o-mah-o-anjum mein use DhunDne walo
ye sara jahan KHak ke paikar se uTha hai
rahta hai meri aankh mein kajal ki tarah se
jo dur tamannaon ke tewar se uTha hai
main dar se tere uTh ke isi soch mein gum hun
kya koi KHushi se bhi tere dar se uTha hai
jo us ki nazar se kabhi 'afroz' uTha tha
is bar wo mahshar mere andar se uTha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.