sahilon ka bhi na ehsan tha gawara mujhko
sāhiloñ kā bhī na ehsāñ thā gavārā mujh ko
itnā dariyā ke talātum ne sañvārā mujh ko
pyaas aisī hai ki andar se sulagtā hai badan
aur paanī ke sivā kuchh nahīñ chārā mujh ko
ab to dāman ko lapakte haiñ lahū ke sho.ale
aur pukāre hai kahīñ ḳhuun kā dhārā mujh ko
ḳhūñ-bahā le ke abhī ḳhair se palTe bhī na the
maqtal-e-ḳhauf meñ phir kis ne pukārā mujh ko
pāsdārī kī jaḌeñ maiñ ne hilā kar rakh diiñ
vo samajhte the faqat iiñT aur gaarā mujh ko
ajnabī shahr kī begāna mizājī ke ḳhilāf
mere saa.e ne diyā kitnā sahārā mujh ko
dard hī dard kamāte ho magar kahte ho
ishq ke khel meñ hotā hai ḳhasāra mujh ko
surma.ī shaam ke chehre pe hayā kā āñchal
achchhā lagtā hai bahut aisā nazāra mujh ko
maiñ to jugnū kī tarah shab meñ pareshāñ hairāñ
raat bhī kahtī hai āvāra sitāra mujh ko
sahilon ka bhi na ehsan tha gawara mujh ko
itna dariya ke talatum ne sanwara mujh ko
pyas aisi hai ki andar se sulagta hai badan
aur pani ke siwa kuchh nahin chaara mujh ko
ab to daman ko lapakte hain lahu ke shoale
aur pukare hai kahin KHun ka dhaara mujh ko
KHun-baha le ke abhi KHair se palTe bhi na the
maqtal-e-KHauf mein phir kis ne pukara mujh ko
pasdari ki jaDen main ne hila kar rakh din
wo samajhte the faqat inT aur gara mujh ko
ajnabi shahr ki begana mizaji ke KHilaf
mere sae ne diya kitna sahaara mujh ko
dard hi dard kamate ho magar kahte ho
ishq ke khel mein hota hai KHasara mujh ko
surmai sham ke chehre pe haya ka aanchal
achchha lagta hai bahut aisa nazara mujh ko
main to jugnu ki tarah shab mein pareshan hairan
raat bhi kahti hai aawara sitara mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.