sahilon par udasi rahi
sāhiloñ par udāsī rahī
ik nadī phir se pyāsī rahī
raat ne niiñd pahnī magar
ḳhvāb kī be-libāsī rahī
husn vo khilkhilātā rahā
ishq par bad-havāsī sī rahī
aaj phir kuchh na kah piye ham
aaj phir baat baasī rahī
kam na ho lams kī aañch ye
barf bas ab zarā sī rahī
jism mandir huā so huā
ruuh to dev-dāsī rahī
maut par kis liye ro.eñ ham
zindagī achchhī-ḳhāsī rahī
sahilon par udasi rahi
ek nadi phir se pyasi rahi
raat ne nind pahni magar
KHwab ki be-libasi rahi
husn wo khilkhilata raha
ishq par bad-hawasi si rahi
aaj phir kuchh na kah piye hum
aaj phir baat basi rahi
kam na ho lams ki aanch ye
barf bas ab zara si rahi
jism mandir hua so hua
ruh to dew-dasi rahi
maut par kis liye roen hum
zindagi achchhi-KHasi rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.