sahilon se dur jis din kashtiyan rah jaengi
sāhiloñ se duur jis din kashtiyāñ rah jā.eñgī
chaar jānib ḳhālī ḳhālī bastiyāñ rah jā.eñgī
phir samundar meñ utar jā.egā paanī buuñd buuñd
jaal meñ dam toḌtī kuchh machhliyāñ rah jā.eñgī
ye tavānā jism thak kar ek din gir jā.egā
khaal ke andar phaḌaktī pasliyāñ rah jā.eñgī
bāġhbānoñ kā chaman yūñhī rahā to ek din
baaġh kī pahchān bas do titliyāñ rah jā.eñgī
maiñ na kahtā thā ki dil kī baat kahne ke liye
khokhle alfāz kī baisākhiyāñ rah jā.eñgī
yuuñ agar ghaTte rahe insāñ to 'ḳhālid' dekhnā
is zamīñ par bas ḳhudā kī bastiyāñ rah jā.eñgī
sahilon se dur jis din kashtiyan rah jaengi
chaar jaanib KHali KHali bastiyan rah jaengi
phir samundar mein utar jaega pani bund bund
jal mein dam toDti kuchh machhliyan rah jaengi
ye tawana jism thak kar ek din gir jaega
khaal ke andar phaDakti pasliyan rah jaengi
baghbanon ka chaman yunhi raha to ek din
bagh ki pahchan bas do titliyan rah jaengi
main na kahta tha ki dil ki baat kahne ke liye
khokhle alfaz ki baisakhiyan rah jaengi
yun agar ghaTte rahe insan to 'KHalid' dekhna
is zamin par bas KHuda ki bastiyan rah jaengi
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 555)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.