sain apne nafas ko humne yun hi nahin nakaam kiya
sā.īñ apne nafas ko ham ne yuuñ hī nahīñ nākām kiyā
umr guzārī dar-ba-darī meñ kab kis jā ārām kiyā
ġhair to āḳhir ġhair haiñ yaaro kyā socheñ ab kis ke ta.iiñ
ham ne kaun jagah apne ko pāband-e-ahkām kiyā
ahl-e-ḳhirad ne jashn-e-bahārāñ yuuñ bhī manāyā ab ke baras
jaib-o-garebāñ chaak kiye aur dīvānoñ meñ naam kiyā
har dar pe ik baañg lagāveñ bhalā karo bas bhalā karo
ek hī shikva ek hī naala sub.h kiyā aur shaam kiyā
ūñche ūñche mahloñ se kyā ġharaz hai ham banjāroñ ko
ThanDī chhāyā dekh ke ḳhud ko kabhī na zer-e-bām kiyā
maiñ hī thā ik aañkh na bhāoñ vo to ab bhī yaar haiñ tere
jin logoñ ne terā charchā bāzāroñ meñ aam kiyā
dukh nā pahuñchā kisī ko baabā tere 'ḳhālid' se
un ne to sau baar ḳhushī ko ġham ke evaz nīlām kiyā
sain apne nafas ko hum ne yun hi nahin nakaam kiya
umr guzari dar-ba-dari mein kab kis ja aaram kiya
ghair to aaKHir ghair hain yaro kya sochen ab kis ke tain
hum ne kaun jagah apne ko paband-e-ahkaam kiya
ahl-e-KHirad ne jashn-e-bahaaran yun bhi manaya ab ke baras
jaib-o-gareban chaak kiye aur diwanon mein nam kiya
har dar pe ek bang lagawen bhala karo bas bhala karo
ek hi shikwa ek hi nala subh kiya aur sham kiya
unche unche mahlon se kya gharaz hai hum banjaron ko
ThanDi chhaya dekh ke KHud ko kabhi na zer-e-baam kiya
main hi tha ek aankh na bhaon wo to ab bhi yar hain tere
jin logon ne tera charcha bazaron mein aam kiya
dukh na pahuncha kisi ko baba tere 'KHalid' se
un ne to sau bar KHushi ko gham ke ewaz nilam kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.