sain mere kheton par bhi rut hariyali bhejo nan
sā.īñ mere khetoñ par bhī rut hariyālī bhejo naañ
sakhī parindoñ kī chahkāreñ gītoñ vaalī bhejo naañ
ek ik kar ke panchhī uḌte jaa.eñ Thor-Thikānoñ se
bhuuk uḌe khaliyānoñ meñ rut bājre vaalī bhejo naañ
chikne-mukne āñgan māñgeñ roz duā.eñ parindoñ kī
kabhī to un kī duā suno aur bharī kuñDālī bhejo naañ
alganiyoñ alganiyoñ phailī rañg-birañgī añgiyoñ ko
lahreñ lete jism aur hañste mukh kī laalī bhejo naañ
sukhī raheñ vo haath jo Daliyā bunte kabhī nahīñ thakte
sandesa us maañ ko jis kī aatmā ḳhālī bhejo naañ
bajre dariyā paar ḳhazāne apne Dho le jaate haiñ
sar aur tan kī judā judā ab ke rakhvālī bhejo naañ
sā.īñ raat kī raat ye bastī maqtal kyoñ ban jaatī hai
ab jis raat bhī ḳhanjar nikleñ āñdhī kaalī bhejo naañ
sain mere kheton par bhi rut hariyali bhejo nan
sakhi parindon ki chahkaren giton wali bhejo nan
ek ek kar ke panchhi uDte jaen Thor-Thikanon se
bhuk uDe khaliyanon mein rut bajre wali bhejo nan
chikne-mukne aangan mangen roz duaen parindon ki
kabhi to un ki dua suno aur bhari kunDali bhejo nan
alganiyon alganiyon phaili rang-birangi angiyon ko
lahren lete jism aur hanste mukh ki lali bhejo nan
sukhi rahen wo hath jo Daliya bunte kabhi nahin thakte
sandesa us man ko jis ki aatma KHali bhejo nan
bajre dariya par KHazane apne Dho le jate hain
sar aur tan ki juda juda ab ke rakhwali bhejo nan
sain raat ki raat ye basti maqtal kyon ban jati hai
ab jis raat bhi KHanjar niklen aandhi kali bhejo nan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.