sail bhi hain is daur mein kase bhi bahut hain
saa.il bhī haiñ is daur meñ kaase bhī bahut haiñ
mil jaa.eñ to ab jhūTe dilāse bhī bahut haiñ
allāh ye ghabrā ke kahīñ zahr na pī leñ
kuchh log mire shahr meñ pyāse bhī bahut haiñ
maiñ dekh rahā huuñ jo charāġhoñ ke na.e zaḳhm
shikve na.e mausam kī havā se bhī bahut haiñ
māyūs nahīñ haiñ tirī rahmat se ḳhudāyā
ye sūkhe hue peḌ jo pyāse bhī bahut haiñ
shaad aap kī har baat se 'anvar' haiñ bahut shaad
bezār magar lafz-e-vafā se bhī bahut haiñ
sail bhi hain is daur mein kase bhi bahut hain
mil jaen to ab jhuTe dilase bhi bahut hain
allah ye ghabra ke kahin zahr na pi len
kuchh log mere shahr mein pyase bhi bahut hain
main dekh raha hun jo charaghon ke nae zaKHm
shikwe nae mausam ki hawa se bhi bahut hain
mayus nahin hain teri rahmat se KHudaya
ye sukhe hue peD jo pyase bhi bahut hain
shad aap ki har baat se 'anwar' hain bahut shad
bezar magar lafz-e-wafa se bhi bahut hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.