sail-e-waqt hain daman-e-karam dekhenge
sail-e-waqt hain daman-e-karam dekhenge
Sahabzada Meer Burhan Ali Khan Kaleem
MORE BYSahabzada Meer Burhan Ali Khan Kaleem
sā.il-e-vaqt haiñ dāmān-e-karam dekheñge
ham tire dast-e-tasarruf kā bharam dekheñge
hādse kitne muqābil haiñ ye ham dekheñge
aur kab tak hai ye tūfān meñ dam dekheñge
sarfaroshān-e-vafā ham to azal se haiñ magar
kitnī ḳhūñ-rez hai ye teġh-e-sitam dekheñge
ham ne rāhoñ ko ujāle to diye daur-e-ḳhirad
kitne raushan haiñ tire naqsh-e-qadam dekheñge
zikr jab apne har ik zaḳhm-e-vafā kā hogā
gul-fishānī bhī sar-e-lauh-o-qalam dekheñge
zindagī ḳhvāb sahī terī tamanna phir bhī
umr bhar tere tasavvur ke sanam dekheñge
jaane kis moḌ pe le aayā hameñ karb-e-hayāt
ab na vo zulf na vo zulf ke ḳham dekheñge
pyaar hamdardī vafā mehr-o-muravvat aḳhlāq
jo bhī dekheñge ab is daur meñ kam dekheñge
apne hī ḳhuuñ se chamak uTThegī tārīḳh 'kalīm'
ahd-e-hāzir ke jo māthe pe raqam dekheñge
sail-e-waqt hain daman-e-karam dekhenge
hum tere dast-e-tasarruf ka bharam dekhenge
hadse kitne muqabil hain ye hum dekhenge
aur kab tak hai ye tufan mein dam dekhenge
sarfaroshan-e-wafa hum to azal se hain magar
kitni KHun-rez hai ye tegh-e-sitam dekhenge
hum ne rahon ko ujale to diye daur-e-KHirad
kitne raushan hain tere naqsh-e-qadam dekhenge
zikr jab apne har ek zaKHm-e-wafa ka hoga
gul-fishani bhi sar-e-lauh-o-qalam dekhenge
zindagi KHwab sahi teri tamanna phir bhi
umr bhar tere tasawwur ke sanam dekhenge
jaane kis moD pe le aaya hamein karb-e-hayat
ab na wo zulf na wo zulf ke KHam dekhenge
pyar hamdardi wafa mehr-o-murawwat aKHlaq
jo bhi dekhenge ab is daur mein kam dekhenge
apne hi KHun se chamak uTThegi tariKH 'kalim'
ahd-e-hazir ke jo mathe pe raqam dekhenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.