sakin hai koi aur watan aur kisi ka
sākin hai koī aur vatan aur kisī kā
ye ruuh kisī kī hai badan aur kisī kā
surḳhī hai kaho kī mire har sarv-o-saman meñ
paḌhtā hai qasīda ye chaman aur kisī kā
taskīn kā bā'is hai kisī aur kā pahlū
ehsās dilātī hai chubhan aur kisī kā
ā.īna samajhte haiñ tujhe sab ye alag baat
hai tujh meñ magar ā.īna-pan aur kisī kā
ye pyaar kā jazba tire kuchh kaam to aa.e
merā nahīñ bantā hai to ban aur kisī kā
kahte haiñ suḳhanvar mujhe nisbat se tirī sab
rahtā hai mire lab pe 'suḳhan' aur kisī kā
sakin hai koi aur watan aur kisi ka
ye ruh kisi ki hai badan aur kisi ka
surKHi hai kaho ki mere har sarw-o-saman mein
paDhta hai qasida ye chaman aur kisi ka
taskin ka ba'is hai kisi aur ka pahlu
ehsas dilati hai chubhan aur kisi ka
aaina samajhte hain tujhe sab ye alag baat
hai tujh mein magar aaina-pan aur kisi ka
ye pyar ka jazba tere kuchh kaam to aae
mera nahin banta hai to ban aur kisi ka
kahte hain suKHanwar mujhe nisbat se teri sab
rahta hai mere lab pe 'suKHan' aur kisi ka
- Book : Nai Rut Ka Safar (Pg. 26)
- Author : Abdul Wahab Sukhan
- Publication : Mishkaat Printer, Aligrah (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.