sakinan-e-shahr-e-gham aabaad ho
sākinān-e-shahr-e-ġham ābād ho
kushta-e-teġh-e-sitam ābād ho
ai numū-dārī ke dushman kam-numā
aa.ine pe kuchh karam ābād ho
bhūlne vaale ke sangī terī ḳhair
tāq-e-nisyāñ rabt-e-kam ābād ho
us ne pūchhā aur ḳhud bhī ro paḌā
ai jahān-e-man dilam ābād ho
āsmāñ kī ḳhair ho ujḌā rahe
ḳhāk-dāñ to kam se kam ābād ho
sakinan-e-shahr-e-gham aabaad ho
kushta-e-tegh-e-sitam aabaad ho
ai numu-dari ke dushman kam-numa
aaine pe kuchh karam aabaad ho
bhulne wale ke sangi teri KHair
taq-e-nisyan rabt-e-kam aabaad ho
us ne puchha aur KHud bhi ro paDa
ai jahan-e-man dilam aabaad ho
aasman ki KHair ho ujDa rahe
KHak-dan to kam se kam aabaad ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.