sakit hai badan KHwab ki lazzat se guzar kar
sākit hai badan ḳhvāb kī lazzat se guzar kar
hairat meñ hai dil kūcha-e-hairat se guzar kar
ik naḳhl-e-shanāsā.ī meñ ruknā paḌā tā-der
paayā use phir dasht-e-vazāhat se guzar kar
shamshīr duā karke musalle se uThā.ī
phir jang pe niklā maiñ ibādat se guzar kar
ik zaḳhm ke andar bhī to hotā hai kahīñ zaḳhm
bhartā jo nahīñ kār-e-jarāhat se guzar kar
ik qaid-e-musalsal hai ki har din mirī tanhā.ī
kamre meñ chalī aatī hai ḳhilqat se guzar kar
dushman ke ta.āqub meñ thī mushkil baḌī darpesh
jaanā thā mujhe māl-e-ġhanīmat se guzar kar
manzar pas-e-manzar meñ chhupā hai kahīñ uryāñ
tasvīr meñ parde kī ri.āyat se guzar kar
maiñ niiñd meñ chal kar hī uThā lā.ūñgā mahtāb
is ḳhvāb kī bosīda imārat se guzar kar
thā kār-e-zarūrat bhī girāñ kār-e-junūñ par
ma.alūm huā ranj-e-ma.īshat se guzar kar
maiñ der se pahuñchā thā so bāloñ meñ lagā phuul
murjhā hī gayā lams kī hasrat se guzar kar
us shoḳh se nādim hai mirī tāqat-e-guftār
har lafz adā hotā hai luknat se guzar kar
sakit hai badan KHwab ki lazzat se guzar kar
hairat mein hai dil kucha-e-hairat se guzar kar
ek naKHl-e-shanasai mein rukna paDa ta-der
paya use phir dasht-e-wazahat se guzar kar
shamshir dua karke musalle se uThai
phir jang pe nikla main ibaadat se guzar kar
ek zaKHm ke andar bhi to hota hai kahin zaKHm
bharta jo nahin kar-e-jarahat se guzar kar
ek qaid-e-musalsal hai ki har din meri tanhai
kamre mein chali aati hai KHilqat se guzar kar
dushman ke taaqub mein thi mushkil baDi darpesh
jaana tha mujhe mal-e-ghanimat se guzar kar
manzar pas-e-manzar mein chhupa hai kahin uryan
taswir mein parde ki riayat se guzar kar
main nind mein chal kar hi uTha launga mahtab
is KHwab ki bosida imarat se guzar kar
tha kar-e-zarurat bhi giran kar-e-junun par
malum hua ranj-e-maishat se guzar kar
main der se pahuncha tha so baalon mein laga phul
murjha hi gaya lams ki hasrat se guzar kar
us shoKH se nadim hai meri taqat-e-guftar
har lafz ada hota hai luknat se guzar kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.