saman-e-aish sara hamein yun tu de gaya
sāmān-e-aish saarā hameñ yuuñ tū de gayā
lekin hamāre muñh se zabāñ kaaT le gayā
daftar meñ zehn ghar nigah rāste meñ paañv
jiine kī kāvishoñ meñ badan haath se gayā
siine se aag aañkh se paanī ragoñ se ḳhuun
ik shaḳhs ham se chhīn ke kyā kyā na le gayā
lab par sukūt dil meñ udāsī nazar meñ ḳhauf
merā uruuj mujh ko ye sauġhāt de gayā
ḳhvāboñ kā ik tilism bachā thā dimāġh meñ
ab ke baras ise bhī koī toḌ le gayā
phunkārtā huā mujhe ik azhdahā milā
jab bhī kisī ḳhazāne kā dar kholne gayā
saman-e-aish sara hamein yun tu de gaya
lekin hamare munh se zaban kaT le gaya
daftar mein zehn ghar nigah raste mein panw
jine ki kawishon mein badan hath se gaya
sine se aag aankh se pani ragon se KHun
ek shaKHs hum se chhin ke kya kya na le gaya
lab par sukut dil mein udasi nazar mein KHauf
mera uruj mujh ko ye saughat de gaya
KHwabon ka ek tilism bacha tha dimagh mein
ab ke baras ise bhi koi toD le gaya
phunkarta hua mujhe ek azhdaha mila
jab bhi kisi KHazane ka dar kholne gaya
- Book : Aank Mein Luknat (Pg. 30)
- Author : Ghazanfar
- Publication : Maktaba Jamia Ltd. (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.