saman-e-faragh jal raha hai
sāmān-e-farāġh jal rahā hai
sahrā ho ki baaġh jal rahā hai
hai shāḳh-e-nihāl par sameTe
bulbul ho ki zaaġh jal rahā hai
hāthoñ meñ dahak rahā hai pyāla
hoñToñ meñ ayāġh jal rahā hai
jo fasl-e-junūñ meñ khil rahā thā
vo qarya-e-dāġh jal rahā hai
vahshat bhī fusūn-e-mushtarak hai
dil ho ki dimāġh jal rahā hai
phir bhī hai chahār-sū añdherā
sadiyoñ se charāġh jal rahā hai
saman-e-faragh jal raha hai
sahra ho ki bagh jal raha hai
hai shaKH-e-nihaal par sameTe
bulbul ho ki zagh jal raha hai
hathon mein dahak raha hai pyala
honTon mein ayagh jal raha hai
jo fasl-e-junun mein khil raha tha
wo qarya-e-dagh jal raha hai
wahshat bhi fusun-e-mushtarak hai
dil ho ki dimagh jal raha hai
phir bhi hai chahaar-su andhera
sadiyon se charagh jal raha hai
- Book : Bahar-e-ejaad (Pg. 66)
- Author : Sayed Ameen Ashraf
- Publication : Sayed Ameen Ashraf (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.