saman-e-zauq-o-shauq sameTo safar karo
sāmān-e-zauq-o-shauq sameTo safar karo
rahnā zarūr hai to kisī dil meñ ghar karo
ḳhud-āshnā nahīñ to mukammal nahīñ hayāt
dil ko asīr-e-halqa-e-ahl-e-nazar karo
ārāsta lahū se bhī hotā hai qasr-e-dil
kuchh aur bhī hasīn ye dīvār-o-dar karo
ubhregā zulmatoñ se na.e din kā āftāb
tārīkiyoñ ke ḳhauf ko nazr-e-sharar karo
pahle ḳhizāñ ke chāk-garebāñ ko dekh lo
phir dāman-e-bahār kī jānib nazar karo
saman-e-zauq-o-shauq sameTo safar karo
rahna zarur hai to kisi dil mein ghar karo
KHud-ashna nahin to mukammal nahin hayat
dil ko asir-e-halqa-e-ahl-e-nazar karo
aarasta lahu se bhi hota hai qasr-e-dil
kuchh aur bhi hasin ye diwar-o-dar karo
ubhrega zulmaton se nae din ka aaftab
tarikiyon ke KHauf ko nazr-e-sharar karo
pahle KHizan ke chaak-gareban ko dekh lo
phir daman-e-bahaar ki jaanib nazar karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.