saman wo rakkha hai qarine se hamara
sāmān vo rakkhā hai qarīne se hamārā
ab kuuch zarūrī hai madīne se hamārā
us ne hameñ tārīḳh ke tah-ḳhāne meñ rakkhā
so rizq utartā rahā ziine se hamārā
ik yaad ke naqshe pe khañDar khod rahe haiñ
ik ḳhvāb nikalnā hai dafīne se hamārā
jis din se vo bichhḌā hai siye jaate haiñ siina
jī bhartā nahīñ siine ke siine se hamārā
bardāsht kiye jaa.eñ tire 'ahd-e-sitam ko
aisā bhī ta'alluq nahīñ jiine se hamārā
lagtā hai tirī Dor kahīñ aur bañdhī hai
jo rābta TuuTā hai mahīne se hamārā
ye bojh nahīñ bojh uThāne ke liye hai
mat haath haTānā kabhī siine se hamārā
hairān take jaate haiñ ham yāroñ ke chehre
paḌtā hai 'ajab vāsta kiine se hamārā
vo aañkh uThe yā na uThe apnī balā se
ab rabt bahut ḳhaas hai piine se hamārā
saman wo rakkha hai qarine se hamara
ab kuch zaruri hai madine se hamara
us ne hamein tariKH ke tah-KHane mein rakkha
so rizq utarta raha zine se hamara
ek yaad ke naqshe pe khanDar khod rahe hain
ek KHwab nikalna hai dafine se hamara
jis din se wo bichhDa hai siye jate hain sina
ji bharta nahin sine ke sine se hamara
bardasht kiye jaen tere 'ahd-e-sitam ko
aisa bhi ta'alluq nahin jine se hamara
lagta hai teri Dor kahin aur bandhi hai
jo rabta TuTa hai mahine se hamara
ye bojh nahin bojh uThane ke liye hai
mat hath haTana kabhi sine se hamara
hairan take jate hain hum yaron ke chehre
paDta hai 'ajab wasta kine se hamara
wo aankh uThe ya na uThe apni bala se
ab rabt bahut KHas hai pine se hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.