samna hai nigah-e-qatil ka
sāmnā hai nigāh-e-qātil kā
dekhnā hausla mire dil kā
haa.e kahnā adā se qātil kā
ham ko dikhlāo raqs bismil kā
chale muñh pher kar vo maqtal se
haal dekhā gayā na bismil kā
josh-e-vahshat meñ terā dīvāna
kyoñ na mushtāq ho salāsil kā
khīñch kar un ko mere ghar laayā
asar āḳhir ko jazb-e-kāmil kā
shaiḳh ḳhāmosh ho ḳhudā ke liye
zikr rindoñ meñ kyā masā.il kā
kaash vo chuTkiyāñ hī leñ aa kar
mashġhala kuchh to ho dukhe dil kā
bosa de Daalo husn kī ḳhairāt
rad na kiije savāl saa.il kā
ai sabā kar bhī qais par ehsān
tū hī parda uThā de mahmil kā
shak thā miTTī kā na ho āshiq ke
itr kyūñkar vo sūñghte gul kā
naza.a meñ bhī 'diler' aa.e na vo
rah gayā dil meñ hausla dil kā
samna hai nigah-e-qatil ka
dekhna hausla mere dil ka
hae kahna ada se qatil ka
hum ko dikhlao raqs bismil ka
chale munh pher kar wo maqtal se
haal dekha gaya na bismil ka
josh-e-wahshat mein tera diwana
kyon na mushtaq ho salasil ka
khinch kar un ko mere ghar laya
asar aaKHir ko jazb-e-kaamil ka
shaiKH KHamosh ho KHuda ke liye
zikr rindon mein kya masail ka
kash wo chuTkiyan hi len aa kar
mashghala kuchh to ho dukhe dil ka
bosa de Dalo husn ki KHairaat
rad na kije sawal sail ka
ai saba kar bhi qais par ehsan
tu hi parda uTha de mahmil ka
shak tha miTTi ka na ho aashiq ke
itr kyunkar wo sunghte gul ka
naza mein bhi 'diler' aae na wo
rah gaya dil mein hausla dil ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.