samne aane pe uske aaj wahshat ho gai
sāmne aane pe us ke aaj vahshat ho ga.ī
dil kī dīvāroñ se ik tasvīr ruḳhsat ho ga.ī
is qadar taktā huuñ tanhā raat bhar yuuñ chāñd ko
'mīr' jaise bāvloñ meñ merī shohrat ho ga.ī
go na lā paa.ī ho merī chashm tāb-e-jalva-gar
diid kī puurī magar is dil kī hasrat ho ga.ī
rang-e-‘āriz se tire raushan thī saarī anjuman
chilman-e-ruḳh se tire har samt zulmat ho ga.ī
rūThtī rahtī hai mujh se har ghaḌī kyoñ āj-kal
zindagī tujh ko bhī mujh se kyā mohabbat ho ga.ī
samne aane pe us ke aaj wahshat ho gai
dil ki diwaron se ek taswir ruKHsat ho gai
is qadar takta hun tanha raat bhar yun chand ko
'mir' jaise bawlon mein meri shohrat ho gai
go na la pai ho meri chashm tab-e-jalwa-gar
did ki puri magar is dil ki hasrat ho gai
rang-e-‘ariz se tere raushan thi sari anjuman
chilman-e-ruKH se tere har samt zulmat ho gai
ruThti rahti hai mujh se har ghaDi kyon aaj-kal
zindagi tujh ko bhi mujh se kya mohabbat ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.