samne aankhon ke raqsan tha tamasha dusra
sāmne āñkhoñ ke raqsāñ thā tamāshā dūsrā
aur manzar maiñ ne duniyā ko dikhāyā dūsrā
lamha-e-fursat mile to ġhaur karnā chāhiye
bām-o-dar kis ke chaman meñ kaun aayā dūsrā
raqs-e-āseb-e-fanā jaarī yahāñ jab se huā
DhūñDhtī haiñ ab havā.eñ bhī Thikāna dūsrā
ḳhud shanāsī ke marāhil tai na ho paa.e agar
maiñ bhī ho jā.ūñgā shāyad rafta rafta dūsrā
ab ḳhushī se ham chaleñ is par ki jabrī taur par
sāmne apne rahā kab koī rasta dūsrā
ik piyāle meñ thā amrit dūsre meñ zahr thā
soch kar maiñ ne uThāyā hai piyāla dūsrā
maiñ ki phūloñ kī zabāñ meñ baat kartā thā 'nasīm'
shahr ke hālāt ne baḳhshā hai lahja dūsrā
samne aankhon ke raqsan tha tamasha dusra
aur manzar main ne duniya ko dikhaya dusra
lamha-e-fursat mile to ghaur karna chahiye
baam-o-dar kis ke chaman mein kaun aaya dusra
raqs-e-aseb-e-fana jari yahan jab se hua
DhunDhti hain ab hawaen bhi Thikana dusra
KHud shanasi ke marahil tai na ho pae agar
main bhi ho jaunga shayad rafta rafta dusra
ab KHushi se hum chalen is par ki jabri taur par
samne apne raha kab koi rasta dusra
ek piyale mein tha amrit dusre mein zahr tha
soch kar main ne uThaya hai piyala dusra
main ki phulon ki zaban mein baat karta tha 'nasim'
shahr ke haalat ne baKHsha hai lahja dusra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.