samne aap mere Thahar jaenge
sāmne aap mere Thahar jā.eñge
dekhte dekhte ham sañvar jā.eñge
zindagī ye mirī aap ke naam hai
bevafā hoñge to kidhar jā.eñge
zindagī ke liye zindagī chāhiye
aap milte rahe to nikhar jā.eñge
dūriyāñ itnī ham ko gavārā nahīñ
kyā kareñge yahāñ ham to mar jā.eñge
'shāziya' ādamiyyat yahī hai agar
dekhnā ik din ham bikhar jā.eñge
samne aap mere Thahar jaenge
dekhte dekhte hum sanwar jaenge
zindagi ye meri aap ke nam hai
bewafa honge to kidhar jaenge
zindagi ke liye zindagi chahiye
aap milte rahe to nikhar jaenge
duriyan itni hum ko gawara nahin
kya karenge yahan hum to mar jaenge
'shaziya' aadamiyyat yahi hai agar
dekhna ek din hum bikhar jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.