samne ho mai-kada aur mai se begana rahe
sāmne ho mai-kada aur mai se begāna rahe
ye fareb-e-hosh-mandī hosh-mandāna rahe
vo gadā ho kar bhī duniyā meñ amīrāna rahe
multafit jis par tirī chashm-e-karīmāna rahe
vus.at-e-sahrā bhī jab ho tañg is ke sāmne
shahr kā pāband kaise koī dīvāna rahe
dāstān-e-shauq hai apne lahū se lāla-rañg
har zamāne meñ hamīñ unvān-e-afsāna rahe
koī aa.e yā na aa.e farq kyā hai ishq meñ
husn kī yādoñ se raushan dil kā kāshāna rahe
sab harīs-e-chashm-e-bāda-rez is mahfil meñ the
ham khulī dāvat bhī pā kar be-niyāzāna rahe
dil kī duniyā se koī baḌh kar nahīñ duniyā 'shamīm'
faḳhr us ke vāste hai jo faqīrāna rahe
samne ho mai-kada aur mai se begana rahe
ye fareb-e-hosh-mandi hosh-mandana rahe
wo gada ho kar bhi duniya mein amirana rahe
multafit jis par teri chashm-e-karimana rahe
wusat-e-sahra bhi jab ho tang is ke samne
shahr ka paband kaise koi diwana rahe
dastan-e-shauq hai apne lahu se lala-rang
har zamane mein hamin unwan-e-afsana rahe
koi aae ya na aae farq kya hai ishq mein
husn ki yaadon se raushan dil ka kashana rahe
sab haris-e-chashm-e-baada-rez is mahfil mein the
hum khuli dawat bhi pa kar be-niyazana rahe
dil ki duniya se koi baDh kar nahin duniya 'shamim'
faKHr us ke waste hai jo faqirana rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.