samne hote the pahle jis qadar hote the hum
sāmne hote the pahle jis qadar hote the ham
jab ye nazzāre nahīñ the tab nazar hote the ham
tab nayā miTTī se uTThā thā mohabbat kā ḳhamīr
har kisī kuuze meñ do ik ghūñT bhar hote the ham
jis parī par mar miTe the vo parī-zādī na thī
ba.ad meñ jaanā ki us ke donoñ par hote the ham
tab kisī dīvār se koī ta.āruf thā nahīñ
un dinoñ kī baat hai jab dar-ba-dar hote the ham
sāmne aate the jab to DhūñDte the kashtiyāñ
chaar āñkhoñ se banī ik jhiil par hote the ham
yuuñ banā dete the jaise sher ho jaate haiñ ab
harf-e-kun kā bhī kabhī dast-e-hunar hote the ham
ik ghaḌī aisī bhī aatī thī mulāqātoñ ke biich
tum udhar hote the jis ke aur udhar hote the ham
samne hote the pahle jis qadar hote the hum
jab ye nazzare nahin the tab nazar hote the hum
tab naya miTTi se uTTha tha mohabbat ka KHamir
har kisi kuze mein do ek ghunT bhar hote the hum
jis pari par mar miTe the wo pari-zadi na thi
baad mein jaana ki us ke donon par hote the hum
tab kisi diwar se koi taaruf tha nahin
un dinon ki baat hai jab dar-ba-dar hote the hum
samne aate the jab to DhunDte the kashtiyan
chaar aankhon se bani ek jhil par hote the hum
yun bana dete the jaise sher ho jate hain ab
harf-e-kun ka bhi kabhi dast-e-hunar hote the hum
ek ghaDi aisi bhi aati thi mulaqaton ke bich
tum udhar hote the jis ke aur udhar hote the hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.