samne ek be-rahm haqiqat nangi ho kar nachti hai
sāmne ik be-rahm haqīqat nañgī ho kar nāchtī hai
us kī āñkhoñ se ab merī maut kī ḳhvāhish jhāñktī hai
jism kā jaadū is duniyā meñ sar chaḌh kar jab boltā hai
ruuh mirī sharminda ho kar apnā chehra Dhāñptī hai
us kī jholī meñ sab khoTe sikke Daale jā.eñge
jāntī hai ye andhī bhikāran phir bhī din bhar māñgtī hai
merā ḳhuun piyā to us ko taaza lahū kī chaaT lagī
ab vo nāgin apnī zabāñ se apnā lahū bhī chāTtī hai
ab kī baar ai buzdil qismat khul kar mere sāmne aa
kyuuñ ik dhachkā roz lagā kar baaqī kal par Tāltī hai
maazī kī turbat se nikal aatī hai kisī kī yaad kī laash
merī soch mirī dushman hai roz musībat Dāltī hai
sahrā kā bādal do būñdeñ barsā kar uḌ jaatā hai
pyāsī banjar bāñjh zamīñ kuchh aur ziyāda hāñptī hai
ab tak soī huī thī vo āsā.ish ke gahvāre meñ
añgḌā.ī sī le kar 'shabnam' aaj anā kyuuñ jāgtī hai
samne ek be-rahm haqiqat nangi ho kar nachti hai
us ki aankhon se ab meri maut ki KHwahish jhankti hai
jism ka jadu is duniya mein sar chaDh kar jab bolta hai
ruh meri sharminda ho kar apna chehra Dhanpti hai
us ki jholi mein sab khoTe sikke Dale jaenge
jaanti hai ye andhi bhikaran phir bhi din bhar mangti hai
mera KHun piya to us ko taza lahu ki chaT lagi
ab wo nagin apni zaban se apna lahu bhi chaTti hai
ab ki bar ai buzdil qismat khul kar mere samne aa
kyun ek dhachka roz laga kar baqi kal par Talti hai
mazi ki turbat se nikal aati hai kisi ki yaad ki lash
meri soch meri dushman hai roz musibat Dalti hai
sahra ka baadal do bunden barsa kar uD jata hai
pyasi banjar banjh zamin kuchh aur ziyaada hanpti hai
ab tak soi hui thi wo aasaish ke gahware mein
angDai si le kar 'shabnam' aaj ana kyun jagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.