samne ek kitab adh-khuli aur main
sāmne ik kitāb adh-khulī aur maiñ
be-sabab sham.a jaltī huī aur maiñ
be-sadā ek naġhme ke haiñ muntazir
daf bajātī huī ḳhāmushī aur maiñ
vaqt kī kokh kā bar-mahal sāneha
ye jahāñ muztarib zindagī aur maiñ
kuchh parind āsmāñ se utarte hue
lutf-andoz jin se nadī aur maiñ
vaqt kī shāḳh par ḳhushnumā phuul the
vo galī husn kī sādgī aur maiñ
gardish-e-rañg-o-bū mish.aleñ aur tū
be-karāñ ik ḳhalā tīrgī aur maiñ
jism dhañsne lagā raat kī qabr meñ
phir vahī ḳhvāb kī āgahī aur maiñ
jism par reñg uThīñ be-badan chīTiyāñ
phir vahī dhuup sī chāñdnī aur maiñ
samne ek kitab adh-khuli aur main
be-sabab shama jalti hui aur main
be-sada ek naghme ke hain muntazir
daf bajati hui KHamushi aur main
waqt ki kokh ka bar-mahal saneha
ye jahan muztarib zindagi aur main
kuchh parind aasman se utarte hue
lutf-andoz jin se nadi aur main
waqt ki shaKH par KHushnuma phul the
wo gali husn ki sadgi aur main
gardish-e-rang-o-bu mishalen aur tu
be-karan ek KHala tirgi aur main
jism dhansne laga raat ki qabr mein
phir wahi KHwab ki aagahi aur main
jism par reng uThin be-badan chiTiyan
phir wahi dhup si chandni aur main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.