samne ek shadid mushkil hai
sāmne ik shadīd mushkil hai
us ke pīchhe mazīd mushkil hai
ghar ujaḌne kā Dar nahīñ hotā
be-gharī ik mufīd mushkil hai
ek mushkil meñ dūsrī mushkil
goyā mushkil kashīd mushkil hai
aaj hairat kā sāmnā hai mujhe
aaj guft-o-shunīd mushkil hai
log āsāniyoñ meñ DhūñDte haiñ
zindagī kī kalīd mushkil hai
tere harbe rivāyatī haiñ 'azīz'
merī mushkil jadīd mushkil hai
samne ek shadid mushkil hai
us ke pichhe mazid mushkil hai
ghar ujaDne ka Dar nahin hota
be-ghari ek mufid mushkil hai
ek mushkil mein dusri mushkil
goya mushkil kashid mushkil hai
aaj hairat ka samna hai mujhe
aaj guft-o-shunid mushkil hai
log aasaniyon mein DhunDte hain
zindagi ki kalid mushkil hai
tere harbe riwayati hain 'aziz'
meri mushkil jadid mushkil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.