samne jab hum nahin honge to kya rah jaega
sāmne jab ham nahīñ hoñge to kyā rah jā.egā
dekhne sūrat tumhārī aa.ina rah jā.egā
ai khilaune bechne vaale idhar se mat guzar
aaj bhī bachcha mirā rotā huā rah jā.egā
kāñch ke TukḌe chune aur haath zaḳhmī kar liye
rāstoñ ko yaad apnā hausla rah jā.egā
dhuup meñ chal kar bahut ham chhāñv meñ pahuñche to kyā
paañv meñ koī na koī aabla rah jā.egā
aaj bhī 'kāshif' use nazreñ bachā kar dekhnā
ab ta.alluq na sahī ye silsila rah jā.egā
samne jab hum nahin honge to kya rah jaega
dekhne surat tumhaari aaina rah jaega
ai khilaune bechne wale idhar se mat guzar
aaj bhi bachcha mera rota hua rah jaega
kanch ke TukDe chune aur hath zaKHmi kar liye
raston ko yaad apna hausla rah jaega
dhup mein chal kar bahut hum chhanw mein pahunche to kya
panw mein koi na koi aabla rah jaega
aaj bhi 'kashif' use nazren bacha kar dekhna
ab talluq na sahi ye silsila rah jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.