samne jaisi chamak aur na jauhar dekha
sāmne jaisī chamak aur na jauhar dekhā
ā.īna maiñ ne ka.ī baar palaT kar dekhā
kabhī tūfāñ kabhī sāhil kabhī gauhar dekhā
raat bhar ḳhvāb meñ pyāse ne samundar dekhā
kyā milegā bhalā insān ke chehre kā surāġh
jab bhī dekhā mujhe duniyā ne to be-sar dekhā
reg-e-sahrā bhī uchhalne lagī paanī kī tarah
jab sarāboñ pe kabhī pheñk ke patthar dekhā
dars-e-iḳhlās hai sūraj kā muqaddar 'kāzim'
utnā hī ūñchā huā jitnā zamīn par dekhā
samne jaisi chamak aur na jauhar dekha
aaina main ne kai bar palaT kar dekha
kabhi tufan kabhi sahil kabhi gauhar dekha
raat bhar KHwab mein pyase ne samundar dekha
kya milega bhala insan ke chehre ka suragh
jab bhi dekha mujhe duniya ne to be-sar dekha
reg-e-sahra bhi uchhalne lagi pani ki tarah
jab sarabon pe kabhi phenk ke patthar dekha
dars-e-iKHlas hai suraj ka muqaddar 'kazim'
utna hi uncha hua jitna zamin par dekha
- Book : کتاب سنگ (Pg. 68)
- Author : کاظم جرولی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.