samne ji sambhaal kar rakhna
sāmne jī sambhāl kar rakhnā
phir vahī apnā haal kar rakhnā
aa ga.e ho to is ḳharābe meñ
ab qadam dekh-bhāl kar rakhnā
shaam hī se baras rahī hai raat
rañg apne sambhāl kar rakhnā
ishq kār-e-payambarāna hai
jis ko chhūnā misāl kar rakhnā
kisht karnā mohabbateñ aur phir
ḳhud use pā.emāl kar rakhnā
roz jaanā udaas galiyoñ meñ
roz ḳhud ko niDhāl kar rakhnā
saḳht mushkil hai ā.inoñ se 'rasā'
vāhimoñ ko nikāl kar rakhnā
samne ji sambhaal kar rakhna
phir wahi apna haal kar rakhna
aa gae ho to is KHarabe mein
ab qadam dekh-bhaal kar rakhna
sham hi se baras rahi hai raat
rang apne sambhaal kar rakhna
ishq kar-e-payambarana hai
jis ko chhuna misal kar rakhna
kisht karna mohabbaten aur phir
KHud use paemal kar rakhna
roz jaana udas galiyon mein
roz KHud ko niDhaal kar rakhna
saKHt mushkil hai aainon se 'rasa'
wahimon ko nikal kar rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.