samne se mere katra ke gae hain aise
sāmne se mire katrā ke ga.e haiñ aise
maiñ ne dekhā nahīñ jaate hue un ko jaise
mashvare dete rahe jo mujhe muḳhlis kī tarah
kyā kahūñ un se bhī khātā rahā dhoke kaise
sar se pairoñ talak ik āla-e-mausīqī haiñ
vāqafiyyat nahīñ koī jinheñ sur se lai se
bech do saarā jahāñ bhī to nahīñ bhar saktā
mere kashkol meñ aa sakte haiñ itne paise
apne qātil bhī haqīqat meñ vahī hote haiñ
kaam lete haiñ lahū kā jo sharābī mai se
ek muddat meñ parakhne kā hunar aatā hai
be-vafā kah duuñ use pahlī nazar meñ kaise
qīmtī la.al bhī gudḌī meñ huā karte haiñ
aisoñ-vaisoñ ko samajhnā nahīñ aise-vaise
khule māhaul meñ jo mujh ko liye phirte haiñ
un ko 'vājid' maiñ ghuTan dil kī dikhā.ūñ kaise
samne se mere katra ke gae hain aise
main ne dekha nahin jate hue un ko jaise
mashware dete rahe jo mujhe muKHlis ki tarah
kya kahun un se bhi khata raha dhoke kaise
sar se pairon talak ek aala-e-mausiqi hain
waqafiyyat nahin koi jinhen sur se lai se
bech do sara jahan bhi to nahin bhar sakta
mere kashkol mein aa sakte hain itne paise
apne qatil bhi haqiqat mein wahi hote hain
kaam lete hain lahu ka jo sharabi mai se
ek muddat mein parakhne ka hunar aata hai
be-wafa kah dun use pahli nazar mein kaise
qimti lal bhi gudDi mein hua karte hain
aison-waison ko samajhna nahin aise-waise
khule mahaul mein jo mujh ko liye phirte hain
un ko 'wajid' main ghuTan dil ki dikhaun kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.