samne sirf mera chehra hai
sāmne sirf merā chehrā hai
ye tirī yaad kā saverā hai
aaj chhoTe se ik ujāle ne
mujh ko chāroñ taraf se gherā hai
kyā ḳhabar thī ki ḳhud se ḳhālī huuñ
kyā patā thā badan ikahrā hai
jugnū jugnū jalāne vaalā tū
tujh meñ ik andhkār merā hai
dasht-e-imkāñ kā pāsbān hai kaun
in havāoñ meñ kis kā Derā hai
duur jangal meñ bas rahā hai koī
āñdhiy.oñ meñ charāġh merā hai
ai shab-e-ġham zarā sañbhāl ise
ye mirā āḳhirī añdherā hai
yak qadam bas zamīñ hamārī hai
har nazar āsmān terā hai
saañs bhar us se baat kar letā
vo yahīñ ās-pās Thahrā hai
terī yādoñ kā bahtā dariyā bhī
kitnā shaffāf kitnā gahrā hai
koī vahshat na koī vīrānī
kyā ye dasht-e-ḳhayāl merā hai
kal bhī sarf-e-ḳhayāl the sab rang
ye qalam aaj bhī sunahrā hai
samne sirf mera chehra hai
ye teri yaad ka sawera hai
aaj chhoTe se ek ujale ne
mujh ko chaaron taraf se ghera hai
kya KHabar thi ki KHud se KHali hun
kya pata tha badan ikahra hai
jugnu jugnu jalane wala tu
tujh mein ek andhkar mera hai
dasht-e-imkan ka pasban hai kaun
in hawaon mein kis ka Dera hai
dur jangal mein bas raha hai koi
aandhiyon mein charagh mera hai
ai shab-e-gham zara sanbhaal ise
ye mera aaKHiri andhera hai
yak qadam bas zamin hamari hai
har nazar aasman tera hai
sans bhar us se baat kar leta
wo yahin aas-pas Thahra hai
teri yaadon ka bahta dariya bhi
kitna shaffaf kitna gahra hai
koi wahshat na koi virani
kya ye dasht-e-KHayal mera hai
kal bhi sarf-e-KHayal the sab rang
ye qalam aaj bhi sunahra hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.