samne tez hawaon ke jo uD jaega
sāmne tez havāoñ ke jo uḌ jā.egā
vo shajar dekhnā ik roz ukhaḌ jā.egā
sāf-goī kise kahte haiñ batā.ūñgā use
vāsta mujh se jo ā.īne kā paḌ jā.egā
kyā ḳhabar thī ki tire shahr meñ aa kar koī
dāġh-e-rusvā.ī tire māthe pe jaḌ jā.egā
tū bure logoñ kī sohbat se kināra kar le
varna āfāt ke daldal meñ tū gaḌ jā.egā
ye to shaitāñ ke gumāñ meñ bhī na hogā 'ālam'
is qadar aaj kā insān bigaḌ jā.egā
samne tez hawaon ke jo uD jaega
wo shajar dekhna ek roz ukhaD jaega
saf-goi kise kahte hain bataunga use
wasta mujh se jo aaine ka paD jaega
kya KHabar thi ki tere shahr mein aa kar koi
dagh-e-ruswai tere mathe pe jaD jaega
tu bure logon ki sohbat se kinara kar le
warna aafat ke daldal mein tu gaD jaega
ye to shaitan ke guman mein bhi na hoga 'alam'
is qadar aaj ka insan bigaD jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.