sanche mein musawat ke Dhal kyon nahin jate
sāñche meñ musāvāt ke Dhal kyoñ nahīñ jaate
tūfāñ ho to kuchh der ko Tal kyoñ nahīñ jaate
hai dard to zaḳhmoñ ke nishāñ kyoñ nahīñ milte
aañsū haiñ to āñkhoñ se nikal kyoñ nahīñ jaate
patthar to faqat raah dikhāne ke liye haiñ
khāte ho jo Thokar to sañbhal kyoñ nahīñ jaate
jangal meñ udāsī ke rahoge bhalā kab tak
kuchh raah banā kar ke nikal kyoñ nahīñ jaate
kar lī hai mohabbat to ḳhatā kyoñ nahīñ karte
jab aag lagā lī hai to jal kyoñ nahīñ jaate
sanche mein musawat ke Dhal kyon nahin jate
tufan ho to kuchh der ko Tal kyon nahin jate
hai dard to zaKHmon ke nishan kyon nahin milte
aansu hain to aankhon se nikal kyon nahin jate
patthar to faqat rah dikhane ke liye hain
khate ho jo Thokar to sanbhal kyon nahin jate
jangal mein udasi ke rahoge bhala kab tak
kuchh rah bana kar ke nikal kyon nahin jate
kar li hai mohabbat to KHata kyon nahin karte
jab aag laga li hai to jal kyon nahin jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.