saneha aaj ka ye kya kam hai
sāneha aaj kā ye kyā kam hai
aadmī aadmī se barham hai
tīrgī bhī hañsī uḌātī hai
lau charāġhoñ kī kitnī maddham hai
rāh-e-hastī kahīñ na jhulsā de
dhuup zaa.id hai chāñdnī kam hai
rakhiye lahje meñ pyaar kī shabnam
zaḳhm-e-dil kā yahī to marham hai
aadmī phir bhī thak hī jaatā hai
rāsta garche ziist kā kam hai
talḳh kyoñ ban ga.ī zabāñ terī
dil dukhāne ko aa.ina kam hai
chhoḌ kar tū abhī gayā bhī nahīñ
shahr-e-dil meñ abhī se mātam he
saneha aaj ka ye kya kam hai
aadmi aadmi se barham hai
tirgi bhi hansi uDati hai
lau charaghon ki kitni maddham hai
rah-e-hasti kahin na jhulsa de
dhup zaid hai chandni kam hai
rakhiye lahje mein pyar ki shabnam
zaKHm-e-dil ka yahi to marham hai
aadmi phir bhi thak hi jata hai
rasta garche zist ka kam hai
talKH kyon ban gai zaban teri
dil dukhane ko aaina kam hai
chhoD kar tu abhi gaya bhi nahin
shahr-e-dil mein abhi se matam he
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.