saneha ho ke raha chashm ka murjha jaana
sāneha ho ke rahā chashm kā murjhā jaanā
ḳhvāb lagtā hai tirā ḳhvāb meñ bhī aa jaanā
aañkh tā-der rahī mauja-e-ġham-nāk meñ tar
hasan kā khel thā ā.īne ko chamkā jaanā
tū sar-e-bām havā ban ke guzartā kyuuñ hai
mere malbūs kī aadat nahīñ lahrā jaanā
dasht ke lab pe hai is qatra-e-naisāñ kā mazā
tū kahāñ jaan sakā maiñ ne tujhe kyā jaanā
tuḳhm botā hai koī haath mirī miTTī meñ
mujh ko āsāñ hai bahut chhāñv kā phailā jaanā
saneha ho ke raha chashm ka murjha jaana
KHwab lagta hai tera KHwab mein bhi aa jaana
aankh ta-der rahi mauja-e-gham-nak mein tar
hasan ka khel tha aaine ko chamka jaana
tu sar-e-baam hawa ban ke guzarta kyun hai
mere malbus ki aadat nahin lahra jaana
dasht ke lab pe hai is qatra-e-naisan ka maza
tu kahan jaan saka main ne tujhe kya jaana
tuKHm bota hai koi hath meri miTTi mein
mujh ko aasan hai bahut chhanw ka phaila jaana
- Book : meyaar (Pg. 352)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.